Damini Bansal
2 min readAug 8, 2022
Akhir kyu mummy ase hote hai…

Mujhe bhukh 2 roti ki hai, lekin teen khila ke chodhte hai…

Thand nhi hai itni, lekin pher bhi ek aur sweater pehna ke chodhte hai….

Pta nhi kaise mummy ko har baar mein kamjhor he dekhte hun, jabki duniya patle hone ke tips dete rehte hai…..

Pta nhi kaise mummy ke liye sabse sundar mein he hun, jabki duniya beauty tips dete rehte hai….

Apne liye fruit bhi kbhi nhi cut krte, lekin mujhe kuch nah kuch bna ke khilate rehte hai…

Khudh sara din kaam krte hai, lekin pher bhi raat ko mujhe sula ke hein sote hai….

Khudh ko kitni bhi bhukh lage hon, lekin pehle khana mujhe khilate hai……

Halka sa bimar kya ho jau, mujhse jyada wo bimar lgte hai….

Khudh ka sab kuch bhul ke sirf, bss mere baare mein sochte rehte hai…..

Kitna marji gussa ho jau, pta nhi kaise ek hug se he mna lete hai….

Pta nhi kaise hamesha wo gisi piti baatein mere itni dhyaan se sunn lete hai….

Pta nhi kaise har problem ka solution hota mummy tere paas….

Koi kuch bol kr toh dekhe mujhe, uske puri aukat dikha dete hai…..

Mein hasu toh woh haste hai , aur rone toh dete hein nhi….

Aaj bhi mummy ghar mein nayi methai aane par, sabse se pehle mujhe khilate hai….💗💗💗
Damini Bansal
Damini Bansal

Written by Damini Bansal

Love to be lazy as lazy find an easiest way to do hard job.

No responses yet